Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2015

The Flying Hopes of Life

i was sleeping , one cold night, my dreams took me to a place so high.. I looked down from there and i felt so afraid, oh, i would swap my place if you want to trade.. I was shouting hard but no one heard, was I alone or its a matter of nerd.. I knew something is missing, something that isn't healed, like a broken picture frame on the wall I nailed.. the moment was so scary and my heartbeat high, somebody pushed me off the cliff and i started to fly.. I was shocked, surprised and mesmerized, I was a baby bird and it was my first flight.. God gave me chance to touch the sky, and I woke up a human with the hopes so high.. Now I know its a matter of trying, one can learn to laugh even though they born crying.. Oh God, Oh bless me with the faith, expose me to sunshine and let me bathe.. Let me shout to tell this world, I am a human, I am born to live and to sing with a rythm.. Oh God, I surrender in the warmth of your love, let me fly high like a peaceful dove.. B

Tera naam jpaa

kitne varas tera naam japa, kabhi hare hare krishna kabhi ram japa.. teri daras ki lalsa na man se miti, chahe teri aas me bhor se sham bhai.. mere man me jo law hai jalaye rakho, prabhu darshan ki pyas lagaye rakho.. kabhi bhulu na pal bhi tere nam ko, prabhu bhakti ki shakti jagaye rakho.. tere jap hi mera sahara bana, jab dooba main tu hi kinara bana.. prabhu hare krishna hare krishna naam ratu, kabhi bhor bhaye kabhi sham ratu.. mere raam tera naam mujhe daan mile, bas bhakti ka mujhe vardan mile..

From Passion to Sprituality - Badal gya main

kuch you hi panne palat raha tha ek kitab ke, saamne ek kavita dikhai padi mujhko.. padhne me anand to aaya lekin, seene me thandak nahi padi mujhko.. kisi kavi ne badi hi gehraai se muhabbat ko apni, kaagaz pe ataa kiya tha chaahato ko apni.. sayad kisi ki yaado ne uski aankhe bhigoi thi, na jaane kese usne apni jannat khoi thi.. mujhe bhi yaad aa gya wo guzara zamana mera, iskh me uske kavita likh jaana mera.. kitnaa naadaan hua karta tha main.. kisi ke ishk me parwaan hua karta tha main.. nahi dekh sakta tha wo roshni jo mujhe bulati thi, ek jhooth se sach ki or jo le jati thi.. bhagwaan ki saan ko shabdo me na utar ke, mere haato se ek ek insaan ko pane ki fariyaad likhi jati thi.. sayad bhagwan ne bhi samajh liya tha mera haal, puchne chale aaye ek din ban ke gwaal baal, meethi si baansuri suna ke mujhe sukoon pehle diya, fir mere saare dukh dardo ko har liya.. kehne lage tu duniya ka nahi hai mere bacche, tu mujhse hai main tujhse, mann ke sa

Insaano ki is duniya me..

Insaano ki is duniya me, prabhu tera koi mol nahi.. wo rote or bilakhte hai, bas jeene ka mahol nahi.. kabhi kaha tha tumne arjun ko, mujhme hi sada vishwaas rakho.. koi apna bhi gar sath na de, mujhse apni ardaas kaho.. kuch khoya nahi hai mene lekin, na jaane kyu main rota hu.. is jeevan chakra ki maala ko, main aansuo me kyu pirota hu.. prabhu do mujhko apni bhakti, mujhe nij charno ka kaas karo.. mujhe do fir janam ek gopi ka, aa mere sang bhi raas karo.. mujhe soordas ki aankhe do, is duniya ko na dekh saku.. mere divya netra ki jyoti se, tere daras ki traas mitata rahu.. ek meera thi deewani si, tumse usne jo prem kiya.. ek gwale ki murli bas ho, nar narayan ko mol liya.. prabhu naam na tumhra main jaanu, naa jaanu main bhakti pooja.. mujh naadaan pe kripa karo.. tum bin mera na koi duja..

Kuch yu chal nikla main..

kuch yu chal nikla us rah pr main, jiska mujhe andaza na tha, bas tera bharosa teri umeed thi mujhe, warna samya ka bhi accha koi irada na tha.. fir ek pathar se thokar khai mene, fir dard se aankhe bhigai mene, kamzor tha bhale hi badan mera, man me hosle lekin kathin pale mene.. na jaane kab bhatak gya rah se apni, bhul bhuliya si pagdandiyo me, umeed bhi kya chodta jab tak jinda tha, ek nayi rah khud bana li apni.. nahi koi aam insaan main, mujhme ladne ka ek junoon hai, gir gir ke bhi uthna aata hai mujhko, jeena seekha hai mehnat ke sukoon me..

Ek Mauka to do

zindgi aapke kadmo me bitana chahta hu, hey prabhu! mujhe bhi ek mauka to do.. tumhare dhyan me baithe magn ho ke gaau, sunne ko bhajan koi shrota to do.. akela chalta hu teri raah pe, auro ko bhi raah dikhau ye bharosa to do.. Hey prabhu ! mujhe bhi ek mauka to do.. Dhruva ko diya tha, prahlaad ko diya tha, arjun or anjani ke laal ko diya tha, bharat ko diya tha tulsidaas ko diya tha, ek kewat or ek nisaad ko diya tha, mujhko bhi ek hawa ka jhoka to do, hey prabhu! mujhe bhi ek mauka to do.. charan raj sparah se ahilya thi taari, darshan ko tarasti thi mithilesh kumari, naam sada japte hai brahma or purari, sahristi ke tum hi ho bhav bhya haari, mujhko bhi bhakti ras ka chokha to do.. hey prabhu ! mujhe bhi ek mauka to do..

God Is Everywhere - Mujhme bhi Paramatma basta hai

mujhme bhi parmatma basta hai, wohi mujhe raah dikhata hai, jeevan bhale amavas ki rat ban jaye, mere mann me surya jagata hai.. main to bas chalta hu rah pe, mujhe manjil wohi dikhata hai, keechar ho ya kaante ho, mujhe ungli tham chalata hai.. kabhi ram roop me dekha hai, kabhi krishna roop me chaha hai, maa ka aanchal banta hai, or pita ka saaya ban aaya hai.. mujhe khabar nahi is duniya ki, main prem prabhu se karta hu, mujhe bhakti me aanand milta hai, bas naam usi ka japta hu..

Bohot badal gya main..

bohot badal gya hu main, khud me hi khoj raha khud ko.. naa jaan paya kab pal beete, or kab main bhool gya tum ko..   mere jeevan ki jo raah bani, us path se main kab bhatak gya.. karne dariya ko paar chala, par beech bhavar main doob gya.. kabhi socha na tha jo, wo hua, koshis sari naakaam hui.. fir bhi na maani har kabhi, fir tair ke nadiya paar hui.. ye kesi dagar pe chal nikla, mujhko koi saathi na dikhta.. veerana ye path dikhta hai, fir bhi main masti me chalta..

Mera Ishq Rab

main ishk rab se karna chahta hu, wo ek insaan ki taraf mod deta hai.. koi khel hai ye mere sath is rab ka, jo bar bar usi insan se pyar hota hai jo dil todta hai.. hey rabba, bas or na kehar kar mujhpe, kuch to reham kar mujhpe, bhot dekh li duniya ki rangat mene, ab to apne pyar ka karam kar mujhpe.. ek nanhi si jaan hu main, tera banaya mitti ka insaan hi main, gar tu nahi thamega to kon thamega hath mera, teri is duniya me kuch pal ka mehmaan hu main.. kese ye galti ki mene ke tujhko bhula diya, tujhe bhul khud ko kisi insan ke prem me duba diya, lekin shukr hai uska bhi ke mujhe kacchi neend se jaga diya, bhot der hoti isse pehle hi mujhe fir tujhse mila diya.. haan, main pyar aaj bhi usse karta hu, kabhi galti se bhi na tujhe visarta hu, pyar baatne bheja hai mujhe is duniya me, pyar ki hi nayia me doobta kabhi tarta hu...

Hey Kanha ! Kabhi Meri bhi nagri aa

hey kanha kabhi meri bhi nagri aa, gopiya bhohot hai yaha inka bhi maakhan chura.. kabhi hume bhi apna sakha bana, kabhi humare man ke kaliya naag pe bhi naach ke dikha.. hey kanha kabhi meri bhi nagri aa.. kabhi mere kaam rupi putna ko vadh kar ke dikha, kabhi mere karmo ke bakasur ka mukh cheer ke ja, kabhi mere man ke ahankar kans ko mita, kabhi mujhe apni mathura me darshan ko bula, hey kanha kabhi meri bhi nagri aa.. aa ke dekh zra kis duniya me basta hu main, kitni kaali hai ye nagti iska kuch andaaza laga, kabhi is duniya ko bhi geeta updesh suna, hey kanha kabhi meri bhi nagri me aa..

Mann ki awaaj, Ram naam ki aas..

likhne to geet jab me shabd chunta hu, aankho hi aankho me khwab bunta hu, kho jane ko dil chahta hai gumnam duniya me, bas apne hi mann ki awaaj sunta hu.. yaado me raam naam basa hai meri, baato me vairaag ki jhalak dikhti hai, kisi ne pucha kiske khyalo me ho? mene kaha wohi, jiski karuna barasti hai.. manav janam diya mujhe bjagwan ne, ek mauka diya hai unke pas jane ka, karm kar kar unhe samarpit karna hai, chinta kyu, or kyu darr jamane ka.. hare Krishna ka jaap karta hu, har subha, har sham karta hu, path pradarshit ho ya ghor andhera hu, bas manzil tu hi ho, ye fariyad karta hu.. Hare Krishna ! Hare Ram !

Koi mujhe samjhao mat

koi mujhe samjhao mat, main kya hu main janta hu.. zindgi se darna seekha nahi, par jung hai ye main manta hu.. koi raah dikhane wala hai, koi chaah batane wala hai.. mere sir pe jiska saya hai, wo duniya banane wala hai.. mujhe samjho mat akela tum, main rahi nahi, ek kaarwaan hu.. thokar lag lag sambhla hu, bas you hi manzil ko pukaar ta hu.. mujhe khoob bharosa rab pe hai, mujhe khoob bharosa jag pe hai.. jag raahe rokta rahta hai, wo naye darwaze kholta hai..

Dhanyawaad tera duniya banane wale

main tera kitna dhanyavad karu he duniya banane wale, mujhko jism deke ek insaan banane wale, dil me itna pyar or ek pyara parivar dene wale, parivar jese hi dost or yaar dene wale main to aj bhi khada hu haath failaye, tere charno ko takta hu nazre jhukhaye.. tujhse hi meri aastha or mera wishvas hai.. bas tu hi to mere jine ki wajha or meri swaas hai kabhi rota hu to tu sahara bhej deta hai.. ek dost or badi behan ka sahara bhej deta hai.. khone laga tha main to vishwas ek din.. jagai is dost ne jeene ki aas ek din.. he ram ji mujhe yuhi vishwas dete rehna.. mere parivar or dosto ka sath dete rehna.. na abhiman karu na krodh ho mere man me, tere kisi bhi jeev ka na virodh karu jeevan me.. tere sahare pe meri sraddha bani rahe har dam.. khilta rahe tere prakash se ye jeevan..

aa zindgi tera bhi zor dekh le

aa zindgi tera bhi zor dekh lein, kitni uthal puthal or kitna hai shor dekh lein, kabhi hasane ka kabhi rulane ka tera rutba dekh lein, haar kar bhi muskurane ka mera zazba dekh lein.. aa zindgi tera bhi zor dekh lein.. mujhe darane ka tera tajurba dekh lein, kabhi na ghabrane ka mera hosla dekh lein, jo kuch khoya tha uska hisab dekh lein, jo paane ki umeedein hai uska sabaab dekh lein, aa zindgi tera bhi zor dekh lein.. Haste hue mar jana hai ek din sabne, tujhse ishk kar ke maut se muh fer dekh lein, koi kitna bhi roke, toke ya daraye, kisme hai himmat hume rok paye, dekh lein, aa zindgi tera bhi zor dekh lein..

Only Life holds the Answers

It was not an ordinary day, its was special for two reasons, First, she was looking beautiful, more beautiful than usual. Second, it was her wedding, yes, it was her wedding. I am  Mrig , a cheerful guy passed college and after that joined an MNC to chase many of my dreams. The girl I am taking about is my best friend  Vinita . No, you are guessing it wrong, I was not the lucky guy, I was just a guy, just a friend among other friends of her. We were all happy that Vinita was getting married to the guy she loved. We were nearly there, I was driving and with me there were Ron, Nicky, Smriti and Misha . We reached there early it was about 2 hours before the Groom's Arrival. When we saw her ready for the ceremony, Oh my God ! she was looking not less than any Angel from the Heaven. We all were awed from her mesmerizing beauty as a bride. Everyone wished her and final I was sitting in front of her. "I thought you weren't coming",  Vini  snapped at me. Well, to