Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2015

Andhere ka Darr

zindgi jhooth me buni hui lagti hai, sach se to jese nata hi nahi koi, andhere ki gehraio me khoya rehne do mujhe, sayad bardash na kar pau roshni me tanhai.. dil ki sunu ya dimag ki maanu, uljha uljha sa sama ho gya hai, koshis to karta hu khushiya baatu, lekin bewajah sabse jhagra hua hai.. koi jana pehchana sa shaksh puch leta hai, kyo janab kin khayalo me ho aj kal? unhe dekh ke khayal aata hai, bas zinda hai or jee rahe hai har pal.. toota sa mehsoos hota hai khali jeb me bhi kuch, hath daala to jeb bhi phati hui thi, sayad bikhri kuch umeede thi usme lekin, dheere dheere wo bhi sarak rahi thi.. roshni ki sacchai se bhagna seekh gya main, sab dekha, suna par chup rehna seekh gya main, kisi dost ne kaha tha ghabra mat! hum sath hai tere, lekin bharosa naa karna seekh gya main.. kisi peepal ke neeche deepak jalta nazar aata tha, naa jane kon apni umeedo ko roz jalata tha, usi baati se jalna seekh gya main, aakhir andhere se ladna seekh gya main..

Jeevan path ki khoj

Hum kya jaane kya prem hai, hum kewal moh aadheen hai, ish jeevan maya ke path par, hum to prani bade deen hai.. tumhe na jaane na pehchane, hum maya vash bane anjaane, teri kripa patr nahi hum Krishna nahi meera jese deewane.. kabhi thokar lag gir jate hai, na kuch hi samajh hum pate hai, tera naam bhool ke hey Kanha, bas main main ratt lagate hai.. prabhu mujhko apne aadheen karo, mujhe sab vishayo se heen karo, mujhe soordas si bhakti do, mujhe apne charano me leen karo.. mera tan bhi apawan or mann bhi, mera kan kan paap se bhara hua, main saran tumhai aaya hu, mann mera aap me leen hua.. mene suna tha tumne arjun se, geeta ka gyan mahaan kaha, mujh murakh ko bhi bhakti do, jiska vedo ne bakhaan kaha..

Bhagwad prem ka aanand

shabd kam pad rahe hai mujhko, soch raha hu likhne ko main, man sharaddha se bhara hua hai, ttpar bhakti me jhukne ko main.. hey Krishna ! parameshwar mere, main balak hu rini tumhara, path mujhko ab prapt hua hai, Geeta gyan ka mila sahara.. jaan na paya aatma ko main, kese parmatma ko jaanu? an-gin roop rang hai tumhre, kese main tumko pehchaanu?.. kripa nidhaan, mukhko apnalo, nij charano me mujhe sambhalo, na swarg na baikunth mangta, mujhko bhakti ras me rang dalo.. duniya kehti bawra mujhko, koi pagal keh ke pukare, mujhko nahi koi bhi chinta, mera man sada hi prabhu naam uchaare.. Ram naam se prem hai mujhko, Krishna naam se aanand mujhko, nij naam ab bisar gya hai, Hari naam hi sumiran mujhko..

Manzil ki talaash

anokhi si ek raah par, kuch doondhne ki chaah par, chal nikla hu ek ajnabi safar par, sab kuch apna peeche chod kar.. abhi chala hi tha kuch kadam, jab koi anjaan shaks mila mujhko, kuch usne kahi kuch mene kahi, or humsafar mil gya mujhko.. manjil pe pohocha nahi tha abhi, ke sath uska choot gya mujhse, jaha koi nayi raah uske intzaar me thi, ek aesa mod mil gya mujhe.. dukh nahi tha koi na hi afsoos tha, jana door tha or chalna bohot tha, milna bichadna chalta hi raha, sayad yahi is path ka dastoor tha.. jab kabhi rat ka andhera hota tha, main bhohot akela hota tha, dundhta tha bohot lekin, mera saya bhi sath na hota tha.. socha ye karta tha main andhkaar me, sab uljhe rehte hai apne apne vyapaar me, bas saya mera sath chalta tha, kya bik gya wo bhi matlab ke bazaar me.. thak gya tha main murjha gya tha hosla bhi, bas umeed thi manjil milegi kabhi, pta tha andhero ko akele paar paya hai, jab sath na thi meri parchai bhi.. jese hi ye khayal man me aaya, d