anokhi si ek raah par,
kuch doondhne ki chaah par,
chal nikla hu ek ajnabi safar par,
sab kuch apna peeche chod kar..
abhi chala hi tha kuch kadam,
jab koi anjaan shaks mila mujhko,
kuch usne kahi kuch mene kahi,
or humsafar mil gya mujhko..
manjil pe pohocha nahi tha abhi,
ke sath uska choot gya mujhse,
jaha koi nayi raah uske intzaar me thi,
ek aesa mod mil gya mujhe..
dukh nahi tha koi na hi afsoos tha,
jana door tha or chalna bohot tha,
milna bichadna chalta hi raha,
sayad yahi is path ka dastoor tha..
jab kabhi rat ka andhera hota tha,
main bhohot akela hota tha,
dundhta tha bohot lekin,
mera saya bhi sath na hota tha..
socha ye karta tha main andhkaar me,
sab uljhe rehte hai apne apne vyapaar me,
bas saya mera sath chalta tha,
kya bik gya wo bhi matlab ke bazaar me..
thak gya tha main murjha gya tha hosla bhi,
bas umeed thi manjil milegi kabhi,
pta tha andhero ko akele paar paya hai,
jab sath na thi meri parchai bhi..
jese hi ye khayal man me aaya,
door falak pe roshni ka uday nazar aaya,
badh chala aage umeede samet ke,
or akhir ek din mene meri manjil ko paya...
Comments
Post a Comment