mujhme bhi parmatma basta hai,
wohi mujhe raah dikhata hai,
jeevan bhale amavas ki rat ban jaye,
mere mann me surya jagata hai..
wohi mujhe raah dikhata hai,
jeevan bhale amavas ki rat ban jaye,
mere mann me surya jagata hai..
main to bas chalta hu rah pe,
mujhe manjil wohi dikhata hai,
keechar ho ya kaante ho,
mujhe ungli tham chalata hai..
mujhe manjil wohi dikhata hai,
keechar ho ya kaante ho,
mujhe ungli tham chalata hai..
kabhi ram roop me dekha hai,
kabhi krishna roop me chaha hai,
maa ka aanchal banta hai,
or pita ka saaya ban aaya hai..
kabhi krishna roop me chaha hai,
maa ka aanchal banta hai,
or pita ka saaya ban aaya hai..
mujhe khabar nahi is duniya ki,
main prem prabhu se karta hu,
mujhe bhakti me aanand milta hai,
bas naam usi ka japta hu..
main prem prabhu se karta hu,
mujhe bhakti me aanand milta hai,
bas naam usi ka japta hu..
Comments
Post a Comment