kuch you hi panne palat raha tha ek kitab ke,
saamne ek kavita dikhai padi mujhko..
padhne me anand to aaya lekin,
seene me thandak nahi padi mujhko..
saamne ek kavita dikhai padi mujhko..
padhne me anand to aaya lekin,
seene me thandak nahi padi mujhko..
kisi kavi ne badi hi gehraai se muhabbat ko apni,
kaagaz pe ataa kiya tha chaahato ko apni..
sayad kisi ki yaado ne uski aankhe bhigoi thi,
na jaane kese usne apni jannat khoi thi..

mujhe bhi yaad aa gya wo guzara zamana mera,
iskh me uske kavita likh jaana mera..
kitnaa naadaan hua karta tha main..
kisi ke ishk me parwaan hua karta tha main..

nahi dekh sakta tha wo roshni jo mujhe bulati thi,
ek jhooth se sach ki or jo le jati thi..
bhagwaan ki saan ko shabdo me na utar ke,
mere haato se ek ek insaan ko pane ki fariyaad likhi jati thi..

sayad bhagwan ne bhi samajh liya tha mera haal,
puchne chale aaye ek din ban ke gwaal baal,
meethi si baansuri suna ke mujhe sukoon pehle diya,
fir mere saare dukh dardo ko har liya..

kehne lage tu duniya ka nahi hai mere bacche,
tu mujhse hai main tujhse, mann ke sacche..
ye iskh mohabbat me waqt you barbaad mat kar,
mujhe paane ki kosis kar kisi or ki fariyad mat kar..

aankh khuli meri har taraf andhera hi paya,
bas door pipal ke neeche ek deepak nazar aaya..
socha mene kyu main ishk me kurbaan hone chala tha,
khud ki jindgi ka mehmaan hone chalatha..

fir bhool gya use or uski sab yaado ko,
dhoodne laga ram or krishna ke darwazo ko..
ab meri kavita bhi unka bhakhaan karti hai,
insaano ka nahi parmeahwar ka gungaan karti hai..

Comments
Post a Comment