aj ek panchi ko aasmaa se girte dekha,
pankh to nahi lekin hausla toota tha sayad..
girne nahi diya use dharti tak maine,
main bhi udne nikla tha aakash me hi tham liya..
pucha usse kyu marne ka irada hai?
wo bola toot gyi jindgi se meri aas..
baadaloon ko chu kar udta hu,
lekin mit-ti hi nahi meri pyass..
samjhaya use, sehlaya use,
thandi hawao me nehlaya use..
batlaya use kush rehne ka raaz,
bas upar uth-te raho lekin kam karo awaaz..
kisi se daro nahi,
kisi ko darao nahi..
muskurate raho har pal,
kisi ka dil dukhao nahi..
kehne laga wo mukjse haste haste,
lagta hai naya naya udna seekhe ho..
tumhe pta nahi sayad hawao me kitni garmi hai,
sooraj ko sirf pedo ki chhaoon se dekhe ho..
batlaya use mene ki pankh mere naye hai,
lekin tapti dhoop ki garam zameen ka ehsaas hai..
kabhi ladhkhadate hue chala karta tha,
aaj uncha udne ka pura hua khwab hai..
sun o parinde, neel gagan ke sehzade,
zameen me bhi aag, aasmaan me bhi aag hai..
bhag mat mushkilo se, jeena seekh le,
sab kuch hai asaan agar hauslo me faulaad hai..

Comments
Post a Comment