kya zamane ko dikhana hai,
ye ahankar to jhootha bahana hai,
sir uncha rakhne ko har kisi se ladte ho,
is shareer ne ek din maati ho jana hai..
jinhe khushiya maante ho zindgi bhar,
wohi to dukh ka fasaana hai,
chahe kitna bhi chaho tum,
ek din sab yahi choor jana hai..
kyu vyarth chinta karte ho,
kon hai jiske liye mujhse vichadte ho,
kaha tha shri Krishna ne Arjun se,
tum mere ho ek din mujhi me sama jana hai..
bas bhi karo kab tak sach se bhagoge,
silte rahoge zindgi ko kacche dhaago se,
man ka mail kabhi dhote nahi yaaro,
kese gaoge jo khushnuma tarana hai..
wo bano jise duniya salaam kare,
darr se nahi tumhare pyar se byaan kare,
kuch pal hi rehna hai is duniya me,
yaaado me lekin, sada ke liye bas jana hai..
kisi ne kaha kuch to bura hi man gaye,
abhi tak jo pyara tha usi pe seena taan gye,
kesa ye pyar tha or kesi ye yaari thi,
nafrat ne tumko haiwan bana jana hai..
tyag ko gale lagao, raag naya gaoge,
vairag jo pehchan liya jeevan naya paoge,
yaad rakho usko jisne tumhe banaya hai,
door wahi thame hai, usi ne tumhe chalana hai..
Comments
Post a Comment