Bujha bujha sa man ye mera,
Na jaane kab bikhar gya,
Jaane kaisi soch me dooba,
Apna aapa bisar gya..
Tanhai me parchai bhi,
man me bhy failati hai,
andhere ka kaala saya,
saanso me bhar jaati hai..
Aese me jo mujhe jagaye,
wo meri umeed hi hai,
Rabb me jo vishwash karaye,
meri rab se preet hi hai..
Andhera ghanghor jo ho,
apni saanso ka shor jo ho,
or ek kiran dikh jaati hai,
us kaale ghane andhere ko,
jaise roshan kar jaati hai..
Mera man sangharsh kare har pal,
main vishyon ke aadheen hua,
kese main Yogi ban jau,
main Bhogo se rangeen hua..
mujhe haath pakad ke keeche jo,
mujhe sacchai se seenche jo,
mujhe paap karm se roke jo,
wo aasha meri tum hi ho..
Kabhi ek nazar mujhpe kar do,
Prabhu mera jeevan safal karo,
mujhe saahas do jeevan ke liye,
mere man ko bhaav vibhor karo..
Shri Krishna, Govinda, Hare Muraare!
Hey Naath Narayan Vasu Deva !!
Na jaane kab bikhar gya,
Jaane kaisi soch me dooba,
Apna aapa bisar gya..
Tanhai me parchai bhi,
man me bhy failati hai,
andhere ka kaala saya,
saanso me bhar jaati hai..
Aese me jo mujhe jagaye,
wo meri umeed hi hai,
Rabb me jo vishwash karaye,
meri rab se preet hi hai..
Andhera ghanghor jo ho,
apni saanso ka shor jo ho,
or ek kiran dikh jaati hai,
us kaale ghane andhere ko,
jaise roshan kar jaati hai..
Mera man sangharsh kare har pal,
main vishyon ke aadheen hua,
kese main Yogi ban jau,
main Bhogo se rangeen hua..
mujhe haath pakad ke keeche jo,
mujhe sacchai se seenche jo,
mujhe paap karm se roke jo,
wo aasha meri tum hi ho..
Kabhi ek nazar mujhpe kar do,
Prabhu mera jeevan safal karo,
mujhe saahas do jeevan ke liye,
mere man ko bhaav vibhor karo..
Shri Krishna, Govinda, Hare Muraare!
Hey Naath Narayan Vasu Deva !!
Comments
Post a Comment