sochne ka tarika hai mera apna,
mera sapna,
karna chahta hu poora,
lekin rehta hu adhoora,
paani ki talash me bhatakta jaise,
registaan ki khaak me dahakta jese,
koi pakshi pyaasa sa,
mera man bhi kuch aesa hi,
jo jesa samjhe bas vesa hi,
hazaaro log hazaaro bate,
yaad rakhna chahta hu,
magar bhool jata hu,
manzil alag raste alag hai,
chalna sambhal ke,
yaha kante bohot hai,
koi door se chillaye agar,
pas tumhe bulaye agar,
jaan lena ye dhoka hai,
sambhal jane ka ab bhi ek mauka hai,
har koi bandhlena chahta hai sabko,
raja banne ke khwab sajata hai jab wo,
swarth bhav to jeene ki wajah ban gayi hai,
zindgi umraquaid ki saza ban gyi hai,
dadi naani ki kisi kahani jese,
yaado bhari jawaani jese,
jeene ki rah pe mast hota jata hu,
khud ko azaadi me bhigona chahta hu..
kitna anmol waqt tha wo bhi, papa jab sham ko ghar aate the.. jeb me unki 1-2 rupye ke sikke khankhanate the.. kabhi kabhi khud pyar se humare haath me thamate the.. kabhi jeb se gir jane pe main or behan uthane ko daud jate the.. subha jaldi na uthne ko bahane banana, school na bhejne ko maa ko manana.. yaad hai mujhe bhot mar khate the..
Comments
Post a Comment