kya ghata chaayi hai,
chand kuch sarmaya sa hai,
parda kar rakha hai chand ne,
ye jo dhund ka ek saya sa hai.
kahi door ek choti si roshni,
kisi ped se chan k aati si nazar aa rhi hai,
nazare kuch aise ban rahe hai,
jaise kudrat ka dil muskuraya sa hai.
kuch der yuhi khada raha main,
thand ki is khamoshi me,
fir hawa ne kaan me kaha,
kiski talash me tu aya hua hai,
mat dekh is chand ko aise,
isne to na jaane kitno ka dil lubhaya hua hai.
kabhi socha mud chalu ghar ki or,
par fir fir takta rha aasmaa ko main,
dil me ek hairani bani hui thi,
jo kabhi mujhse nazre mila ke chalta tha,
aj wohi chand mujhse kuch chupa rha hai,
na jaane aj kis chakor se is sard dhund ke saye me nazre mila rha hai...
- Get link
- X
- Other Apps
Labels
english poems hindi poems Poems
Labels:
english poems
hindi poems
Poems
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment