Krodh tyag diya maine jabse duniya tyagi hai,
shareer hai saamne lekin mann bagi hai,
icchaaye bhot hoti hai is tan ki,
pyas mujhe hai bas prabhu darshan ki..
khoya khoya firta hu is nafrat jhooth ki duniya me,
moya moya firta hu rishto naato ki galiyo me,
shor macha hai paisa paisa sehro me or gaoon me,
yaad karta hu wo sukoon jo maa ke aachal ko chaoon me..
koi bhola bhola karta hai,
koi maula maula karta hai,
koi wahe guru ka naam jape,
bas kese bhi apna kaam bane..
sacchai to kho gyi re,
matlab ki duniya ho gyi re,
ab raja ram kaha koi,
na kanha dharm saarthi re..
main kyu duniya ko badnaam kahu,
jab khud bhi Ram ka naam na lu,
mara mara firu aawaara,
main bhi lalach ka banjara..
Kanha meri umeed ho tum,
meri shudha bhi tum meri sudh bhi tum,
mujhpe kardo kuch kripa aesi,
bas tum me main ho jau gum..
bas tum me main ho jau gum..
Comments
Post a Comment