Main nanha sa ek panchi hu,
mujhe kaid na kar mujhe udne de,
tajj pinjre ki deewaaro ko,
aakaash se mujhko bhidne de..
ye simte hue jo pankh mere,
mujhe ek bar failane de,
kabhi lambi saans to bharne de,
aajaadi me ghul jaane de..
tu kya jaane mujhpe beeti,
tu jaano ka saudaagar hai,
jo sookh ke registaan bana,
mere sapno ka wo saagar hai..
jo waqt mila hai jeene ka,
mujhe khushio se khil jaane de,
kar yaad kabhi apna bachpan,
mujhko bhi wo pal paane de..
kuch khel hua fir kudrat ka,
ek joro ka toofaan utha,
na jaane kyu nanhe dil me,
ek soya hua armaan jaga..
hilne laga tha pinjra wo,
or jhat se neeche toot gira,
aazaadi ke is pal me wo,
khusi se hawa me khood pada,
wo sang hawa ke udta raha,
toofaano se bhi bhidta raha,
aajaadi ki jo khwahish thi,
unhe dil se jod wo badhta raha..
ek nanha sa jo panchi tha,
ab hawa se baate karta raha..
Comments
Post a Comment