zindgi jhooth me buni hui lagti hai, sach se to jese nata hi nahi koi, andhere ki gehraio me khoya rehne do mujhe, sayad bardash na kar pau roshni me tanhai.. dil ki sunu ya dimag ki maanu, uljha uljha sa sama ho gya hai, koshis to karta hu khushiya baatu, lekin bewajah sabse jhagra hua hai.. koi jana pehchana sa shaksh puch leta hai, kyo janab kin khayalo me ho aj kal? unhe dekh ke khayal aata hai, bas zinda hai or jee rahe hai har pal.. toota sa mehsoos hota hai khali jeb me bhi kuch, hath daala to jeb bhi phati hui thi, sayad bikhri kuch umeede thi usme lekin, dheere dheere wo bhi sarak rahi thi.. roshni ki sacchai se bhagna seekh gya main, sab dekha, suna par chup rehna seekh gya main, kisi dost ne kaha tha ghabra mat! hum sath hai tere, lekin bharosa naa karna seekh gya main.. kisi peepal ke neeche deepak jalta nazar aata tha, naa jane kon apni umeedo ko roz jalata tha, usi baati se jalna seekh gya main, aakhir andhere se ladna seekh gya main..
The point of view towards the life is not always the same, you must think out of box to get over the limits. I write here short stories, poems, Social Articles, Some news evaluation or spiritual thoughts.